Kanzul Imaan (Roman Urdu with Tafseer)             


Book Description :

Kanzul Imaan, Qurane kareem ka Urdu tarjuma hai jo Imame Ahle Sunnat, Aala Hazrat, Imam Ahmad Raza Khan rahimahullahu ta'ala ne tehreer kiya hai, Is ki khoobiyon ke bayaan par kai kitabein likhi jaa chuki hain, Ye tarjuma dusre tamam tarjamo se behtar hai kyunki is mein sirf alfaaz ka tarjuma nahin balki mafhoome kalaam ko saamne rakh diya gaya hai, Is tarjume ke baare mein ye jumla bajaa hoga ke "Ye faqat tarjuma nahin balki apne aap mein kai motabar tafseero ka nichod hai", Is mein muqaddas aur aala hastiyo ke liye aise alfaaz ka intekhab kiya gaya hai jo unki shayaane shaan hain aur dusri taraf Ulama -e- Islam ki bayaan karda tafseero ka khulasa hai
Bahut zaroori tha ke is 'Imaan ke khazane' ko un logon tak bhi pahunchaya jaaye jo Urdu aur Hindi waghaira padhna nahin jaante lihaza hum ne ise 'Roman Urdu' mein shaaya karne ka irada kiya Ye un kitabo mein se ek hai ke jin ko Roman Urdu mein shaaya karne ke liye humare paas kasrat se mutalbaat aaye hain, Hum ne March 2023 mein is ka pehla 'Digital Edition' publish kiya jise Awaame Ahle Sunnat ne kaafi pasand kiya aur humare kaam ko saraaha, Chunki Pehle Edition mein sirf tarjume ko shamil kiya gaya tha isliye phir se logon ki taraf se mutalbaat aane lage ke is mein 'Tafseer' ko bhi shamil kiya jaaye aur humein bhi mahsoos hua ke tarjume ke saath tafseer ko shaaya karna bhi bahut zaroori hai aur humne 'Tafseer Khazainul Irfan' ke saath ise shaya karne ka irada kar liya, Tafseer ko Roman Urdu mein likhna aasaan nahin tha aur darmiyan mein dusre kai bade projects par bhi kaam jaari tha aur isi tarah kai wujoohaat ki bina par taakheer hoti gai aur bil aakhir ye kaawish aapke saamne hai

Hum ne ‘Diacritics’ ke saath Roman Urdu likhne ke bajaye ‘Aasan Roman Urdu’ ka istemal kiya hai taaki har koi ise aasani se padh aur samajh sake, Roman Urdu padhne waalo ko talaffuz aur makharij seekhane ke liye mubalgha ghair zaroori maloom hota hai aur itni riaa’yat bhi qabile mazammat hai ke aayato yaani arabi matan ko hi Roman Urdu mein kar diya jaaye jaisa ke humare mulk ke kam feham nashireen ne kiya hai, Aayato ko Roman Urdu mein likhna najaizo haraam hai balki ‘Nastaleeq Font’ ka istemal bhi mana hai (Dekhiye Fatawa Nayeemiya)
Kanzul Imaan aur Hashiya Khazainul Irfan ko hum ek jild mein publish kar sakte the lekin is ke liye humein fonts ko chhota karna padta aur uske baad bhi hazaar se zyada safahaat ho jaate, Ek jild agar bahut moti kar di jaaye to uski binding mazboot nahin hoti aur jald khul jaati hai isiliye humne jildo ki tadaad badhane ko tarjeeh di, Fonts ka size kam hone ki wajah se logon ko padhne mein dushwari hoti hai aur ye uktaahat ka sabab bhi banta hai, Saath hi hum ne is ki tarteeb Urdu aur Hindi se alag rakhi hai, Umooman dekha jaata hai ke aayato ke saath saath un ke neeche tarjuma naqal kiya jaata hai aur phir tarjume mein hashiye (footnotes) ke numbers de kar tafseer ko hashiye mein darj kiya jaata hai, is mein kai padhne waalo ke saath dushwari ye aati hai ke tafseer ko baar baar hashiye mein talash karna hota hai jo ke kabhi kabhi dusre safhe mein hoti hai aur fonts ka size bhi kaafi kam hota hai to ye mutaale ki rawaangi mein rukawat ka sabab bhi banta hai, Hum ne kuchh is andaaz mein kaam kiya hai ke pehle chand aayato ko rakha hai phir agar aayat lambi thi to sirf ek aayat ko hi darj kiya hai phir us ke baad tarjume ko naqal kiya hai, phir tafseer ko is tarah laaya gaya hai ke jis aayat ya kisi aayat ke jis hisse ki wo tafseer hai us ko bayaan kar ke tafseer darj ki gai hai aur tafseer ke font size ko chhota nahin kiya gaya hai, hum ummeed karte hain ke padhne waalo ko is se kaafi aasani hogi
Mazkoora tarteeb ke mutabiq jab hum ne is ki composing (formatting) shuru ki to Pehle Paare ko mukammal karne par ye andaza hua ke is ki 6 jildein tayyar hongi kyunki Pehla Paarah jab mukammal hua to taqreeban 120 se zyada safahaat ho chuke the lekin jab mazeed 4 Paare shamil kiye gaye to zyada sahih andaza hua ke is ki 5 jildein hongi aur har jild mein 6 Paare shamil kiye jayenge, ye is aitbaar se bhi tay hua ke humein ek jild mein 500 se 600 safahaat hi rakhne the jo ke ek jild ke liye zyada munasib hai, Phir jab is ki printing ki baari aai to hum ne ise bhi behtareen rakhne ki koshish ki hai; Khalifa -e- Aala Hazrat, Allama Mufti Amjad Ali Aazmi rahimahullahu ta'ala likhte hain ke:
Qurane majeed ki kitabaat nihayat khushkhat aur waazeh harfon mein ki jaaye, kaaghaz bhi bahut achha raushnayi (ink) bhi khoob achhi ho ke dekhne waale ko bhala maloom ho
(Ba Hawala Durre Mukhtaar, Raddul Muhtaar)
Phir likhte hain: Baaz chhapne waale nihayat mamooli kaaghaz par bahut kharaab kitabaat wa raushnai se chhapwate hain ye hargiz na hona chahiye
Aisi kai baato ko madde nazar rakhte hue humne ise behtar banane ke liye standard formatting aur modern publishing ke usoolo ke tehat kaam karne ki koshish ki hai, Printing ke liye latest technology ki high quality digital industrial monochrome machine ko istemal mein laaya gaya hai aur hard format mein do variants bhi laaye gaye hain jin mein alag alag qism ke kaghaz ka istemal kiya gaya hai, Awaame Ahle Sunnat se humein ummeed hai ke wo ise na sirf pasand karenge balki humare liye dua bhi farmayenge aur is mein kahin koi ghalati payenge to humein muttala farmayenge
Allah ta’ala humari is kawish ko apni bargaah mein qabool farmaye aur humari khataao’n ko muaaf farmaye aur humari kotahiyo se dar guzar farma kar ise pazeerai ataa farmaye ke isse zyada log faida utha sakein aur ye humare liye zariya -e- najaat ban jaaye

Book Details:

Name

Kanzul Imaan (Roman Urdu) with Tafseer Khazainul Irfan   

Authors

Imame Ahle Sunnat, Aala Hazrat, Imam Ahmad Raza Khan Barelwi & Khalifa -e- Aala Hazrat, Sayyid Naimuddin Muradabadi 

Language

Roman Urdu

Pages                                                          

2000+

Edition

1st

Publisher

Mustafawi Publishing


Volume 1 (Paarah 1 to 6):

Post a Comment

Previous Post Next Post